Astaan hai ye kis Shah e Zeshan ka - Peer Naseer ud Din Kalaam - Nusrat

2018-01-21 104,198 0 8,886,576 YouTube

Download Convert to MP3

A beautiful kalaam by Hazrat Peer Naseer ud Din Naseer R.A recited by Nusrat Fateh Ali Khan. Lyrics Below: Allah re kya baargah e Ghaus e Jali hai gardan ko jhukaye hue ek ek Wali hai har gaam pe sajde ki tamanna hai jabeen ko yeh kiska dar e naaz hai yeh kiski gali hai aastan hai yeh kis Shah e Zeeshan ka marhaba marhaba sajde jahaan karte hain aake farishte malaik sar jhukaate hain Wali ankhein bichchatey hain Dekho Een baargah e Hazrat e Ghaus Saqlain ast na kade qamar e Haider o Nasle Hasnain ast maadarsh Hussaini nasab astoo pidare oo Zaulaade Hassan yani karim ul abawain ast jhuki bahr e ibadat jab Shah e Baghdad ke dar par ajab taukeer e sajda apni paishani pe dekhi hai Qalb haibat se larzan hai insaan ka marhaba marhaba hai asar bazm pe kiske faizan ka marhaba marhaba ghar basaane meri chashme veeraan ka marhaba marhaba chaand nikla Hassan ke shabistaan ka marhaba marhaba sar ki zeenat amaama hai Irfaan ka marhaba marhaba Junmbaa tann phir Muhammad ke ehsaan ka marhaba marhaba rang aankhon mein Zahra ke faizan ka marhaba marhaba roop chehre pe Aayat e Quran ka marhaba marhaba saj ke baitha hai Naushah Jeelan ka marhaba marhaba nagar nagar mein karo manaadi hai Shah e Jeelan ki aaj shadi saare Waliyon ko mehmaan bulaaya gaya Ghaus e Aazam ko dulha banaya gaya Meeran ke ghar hai shaadi aaye Wali Nabi sab Taiba se MUSTAFA bhi tashreef laa rahe hain nazron ko shauk e deed hai mangton mein jashn e eid hai bazm e kono makaan ko sajaaya gaya aaj salleAlaa sayebaan rehmaton ka lagaaya gaya aaj salleAlaa Anbiya Auliya ko bulaaya gaya aaj salleAlaa Ibne Zahra ko dulha banaaya gaya aaj salleAlaa urs hai aaj Mehboob e Subhaan ka marhaba marhaba aao deewanoo muradein apni apni maang lo jholiyan har sawaali ki bhar jaayengi dar sakhi ka khula hai ata ke liye aasmaan manzilat kiska aiwaan hai wah kya shaan hai aaj khalq e khuda kiski mehmaan hai wah kya shaan hai laa-takhaf kiska mashhoor farmaan hai wah kya shaan hai bil yakeen wo shahenshah e jeelan hai wah kya shaan hai haq diya jisko qudrat ne elaan ka marhaba marhaba har taraf aaj rehmat ki barsaat hai wah kya baat hai aaj khulne pe kufl e muhimmaat hai waah kya baat hai chaar su jalwa aarai e zaat hai kya baat hai koi bharne pe kashkoley haajaat hai waah kya baat hai aa fakeeroo aao jholi ko apni bhar lo yeh waqt hai karam ka sarkaar karam farmaate hain jaagne ko mukaddar hai insaan ka marhaba marhaba Gulshan e MUSTAFA ki phaban aur hai yeh chaman aur hai Shah e Abraar ki anjuman aur hai yeh chaman aur hai koo e guldista e PanjTan aur hai yeh chaman aur hai shaan e aale Hussain o Hassan aur hai yeh chaman aur hai Sarmadi rang hai is gulistan ka marhaba marhaba Golre ki zameen kitni masood hai khitta e jood hai Peer Mehr e Ali jis mein maujood hai khitta e jood hai ik silsila e noor hai har saans ka rishta imaan mera hub e Nabi Mehar e Ali koi kisi ka koi kisi ka mere to hain Peer Mehr e Ali majnu ko mili laila aur yusuf ko zulaikha aur mujhko mere Peer Mehr e Ali khayaal apna apna pasand apni apni mere too hain Peer Mehr e Ali kya haseen manzar e shaan e mabood hai khitta e jood hai har ayan iska hamghosh e Mahmood hai khitta e jood hai aaj paaya hai dil jeeso kaaiwaan ka marhaba marhaba shamm e tauheed dil mein jala ke piyo dil lagaakar piyo shah e battha ki khiraat paa ki piyo dil lagaakar piyo shaikh ke aastanay pe aakar piyo dil lagaakar piyo ankh Mehr e Ali se milaakar piyo dil lagaakar piyo khud pilaane pe saaki hai Jeelan ka marhaba marhaba hai ajab husn ka bankpan saamne ik chaman saamne Ahle Tatheer hain khaimazan saamne Panjtan saamne hai ye roo e Hassan ki phaban saamne ya Hassan saamne jalwa farma hai Ghaus e Zaman saamne zauf e gan saamne dekhiye kya banne chashme hairaan ka marhaba marhaba Shah e jeelan ki chaukhat salaamat rahe taa qayamat rahe nakshe paa ka chaman pur karamat rahe taa qayamat rahe alatein ijtiba zeb e kaamat rahe taa qayamat rahe sar pe waliyon ka taaj e imaamat rahe taa qayamat rahe silsila Ghaus e Aazam ke faizan ka marhaba marhaba Mazharay Zaat e Rabb e Qadeer aap hain Dastgeer aap hain kaarwaan e karam ke ameer aap hain Dastgeer aap hain Shah e Baghdaad Peeran e peer aap hain dastgeer aap hain Dastgeeraa kar Mehr tu Mehr e Ali te tere baaj hai kaun Allah aasiyan da Mehar hai saari Ali di Shak na reh gaya ik zara karam kita Ghaus e Aazam saaday Ser diyan waaliyan iss 'Naseer' e Haseen ke Naseer aap hain Dastgeer aap hain koi hamsar nahi aap ki shaan ka marhaba marhaba Jazak Allah

coinpayu
Loading...